kya aap bhi youtube ke dawara apni bat logo me phuchana chate ho ya share karna chahte ho to aap ko jrurt padegi ak youtube channel create karne ki. youtube par har ko apni jankari share karna chahta hai. jinme se kuch to apni bate apni jankari logo me share karna chate hai or kuch paise kamane ke liye, youtube par apni video banake upload karte hai. YouTube channel Banakar aap YouTube par Kisi bhi channel ko subscribe kar sakte ho, video ko like kar sakte ho, video par comment kar sakte ho.
YouTube channel banana bilkul free hai, isake koi paise nahi lagate hai. youtube channel banana bhut hi aasan hai. isske liye aap ko jrurt padegi apni email id ki .agar abhi tak aap ne email id nahi banaya hai pahle aap email id banaye imail id kaise bnaye to chliye manlete hai aap ne emai id bana liya hai aur ab aap youtube channel banane ke liye teyar hai to der kish bat ki chliye ak youtube channel create kar lete hai.aap bas mere step ko follow kare.
Youtube Channel Kaise Banaye?
Step 1: Sabse pahle aap www.youtube.com pe jaye uske bad sabse upar kone me sign in pe click kare jesha niche screen shot me dikhaya gaya hai.
Step 2: apna emai id or pasword dal ke sign in kare niche screen shot me aap dekh saktehai.
Step 3: fir apne profile photo pe click kare fir settings ka icon dikhai de raha hai uspe click kare jesha ki niche screen shot me dikhya gaya hai.
Step 4: fir aap ke samane ak new window open hogi usme create a new channel pe click kare.
Step 5: ab aap apne youtube channel ka name dale jish name se aap apna youtube channel banana chahte hai fir create channel pe click kare, ab aap ka youtube channel ban gaya hai.
Step 6: jese hi aap apni photo pe mause leke jayege to aap ko pencil ka nishan dikhai dega usape click karke apne channel logo lagaye, agar nahi banaya huwa hai to aap bad me bhi laga sakte ho fir add channel art pe click karke apne apne chanel ka channel art lagaye jesha ki aap niche screen shot me dekha rahe hai.
Step 7: video upload karne ke liye upar ki taraf tir ka nishan dikhai de rha hai usape click kare aur apna nolese logo ke shath share kare.
umid karta hu ab aap apna youtube channel banana sikh chuke hai fir bhi agar koi problem ho to aap be jhijhk puchh sakte ho.
aap ki puri helpe ki jayegi. agar aap meri helpe karna chahte hai to post ko share karke kar dijiye. ye post aap ko kaisa laga coment karke jrur bataye post pasnd aaye to apne dosto ke shath share jarur kare .
nice article
Youtube cover kese badale
अपने यूट्यूब चैनल में लॉगइन कीजिए, उसके बाद your channel पर क्लिक कीजिए फिर ऊपर की तरफ आपको कैमरे का आइकॉन दिखाई देगा उस पर क्लिक करके आप कवर फोटो लगा सकते हैं या फिर बदल सकते हैं